Thursday, 13 September 2012

Pyaari Si Zindagi - 07


Aug 10

"Woh shaam kuch ajeeb thi...
Yeh shaam bhi ajeeb hai.
Woh kal bhi paas paas thi...
Woh aaj bhi kareeb hai"

aaaaaccchoooooo!!!
yehi anjaam hota hai baarish mein bheegne se!
ek-do ghante hote toh phir bhi thik tha...
par... poori raat!!!
yeh paagalpan nahi toh kya hai?

garma-garam coffee ka cup haath mein liye,
kandhoan pe shawl oadhe, sir par vicks male,
prem aag ke saamne apne pair saek raha tha...

dur kahin raste se,
kisike hasne ki aawaz aa rahi thi...
prem apni jagah se utha, aur apne aap...
uss aawaz ki aor badha...

khidki se jhaank ke dekha...
toh raaste ke beech mein,
ek akeli ladki,
apni hi dhundh mein magan,
bachchi bani,
uchal-uchal ke barish mein bheeg rahi thi!

uski muskaan ekdum ek bachi jaisi thi!
prem bas dekhta hi reh gaya...

uss ladki ne halke se apni palkein uthayi...
un dono ki nazrein mili...
aur...
uss ladki ne ek pyaari si smile di...

prem waapas smile karne hi waala tha...
ke itne mein... ek lamba chauda sa ladka,
haath mein ek chaata liye,
uss ladki ki aor badha...

kuch der baad, dono haathoan mein haath daale...
coffee house ki taraf chalne lage...

ek chota sa lamha,
prem ko uss shyaam ki yaad dila gaya...
kai saaloan pehle...
jab aise hi,
ek maasoom si ladki,
raaste ke beechoan beech khadi...
apni hi dhoond mein magan,
kuch bachchoan ke saath khel rahi thi...

aur isi tarah... ek ladka...
ek chaate ke saath uski aor badha...

woh thi... prem aur anu ki....
pehli mulaakaat!!!

          - to be continued...

__________________________________________


.....baarish ki boondein.................

Saturday, 1 September 2012

Pyaari Si Zindagi - 06


Aug 7...

"rona chaha... toh aansooan ne saath choad diya...
hasna chaha... toh muskuraahat dagaa de gayi..."

aaj anu ka janamdin tha!
prem raat ke baraah baje se jaag raha tha!
par ab tak, usne anu ko wish nahi kiya...

itcha toh badi thi anu ke ghar jaakar,
usse surprise karne ki...
lekin... uss din ke baad...
uski himmat hi nahi hui!

prem anu se milne ke liye,
ek mahine se tadap raha tha...
saare gile-shikwe mitaakar,
usne ek hafte pehle ko yeh faisla kar liya tha,
ki chahe kuch bhi ho jaaye...
wah anu ke janamdin pe usse zaroor milega!!

par uss din...
ek hafte pehle...
jab usne phon uthaaya...

prem hello kehne hi waala tha...
itne mein saamne se aawaaz aayi...
wah aawaaz... anu ki thi!!!

anu ro rahi thi...
uncle-aunty usse delhi bhej rahe the...
uski mama ke paas... padhai karne ke liye...
paanch saal ke liye!!!

anu se raha nahi gaya!
usse kisi bhi tarah prem ko bataana tha...
par prem...
prem ne khamoshi mein panah lee...
apne tute hue dil ke tukdoan ko samatete hue,
usne anu se kahaa:
"joh hota hai, achche ke liye hota hai... all d best...
sada khush rehna... naseeb mein hoga,
toh phir milenge..."
aur prem ne phone kaat diya...

aaj... anu ke janamdin par...
prem ne aakhir kaar,
apne andar kaid toofan ko raahat de hi di!!!
ek mahine baad...
ek mahine baad...
prem ke sabar ka baandh toot gaya!!!

ussi pahaad par baithe, jahaan woh aksar mila karte the...
prem ne apne aansuoan ke sailaab ko behne diya...

apni kismat ko bura-bhala keh,
ek ghante tak, prem ne apne naseeb ko koasa!!!
aasmaan mein dubte suraj si haalat ho gayi thi prem ki...
prem ke gamoan ka bojh to vishal ambar bhi nahi utha payaa...

aur... wah baras padaa.....

        - to be continued...

__________________________________________________________




.......................................... haal-e-dil tujhko sunaata... dil agar yeh bol paata ......................