Tuesday, 2 October 2012

Pyaari Si Zindagi - 08


Aug 13...

"rishte naate, badhaye uljhanein..."

kya jaane kyun,
teraah taarik ashubh maani jaati hai!

peechle mahine ke teerah taarik ko,
prem ke ghar mein behes chal rahi thi,
ki saabse jyaada ashubh ghatnaa kya hoti hai?

doodh ka phatna,
seeshe ka tutna,
kaanch ka chubna,
ya the ultimate...
kaali billi kas rasta kaatna!

prem humesha se apne parivaar ka sabse suljha hua ladka raha hai!
uske saare bhai-behen usse - 'the smarty pants' karke chidhate hain!

prem ko humesha se hi gossip se chidh thi!
aur andhvishwaas se toh wah,
smokers se jyaada nafrat karta tha!

superstition ki tarah hi,
prem rakshabandhan mein bhi yakeen nahin karta tha!
aakhir bhai behen ka rishta ek hi din tak seemit kyun rakhkha jaaye?
ek naazuk sa dhaaga kya bhai-behen ke pavitra rishte ko simatt kar rakhne ke layaak tha?

par phir bhi...
apni behnoan ka mann rakhne ke liye,
prem har rakshabandhan pe,
paanch-che lifaafoan mein
sau ka ek karaara note, taiyyaar rakhta tha!

in sab lifaafoan ke dhear mein,
takiyoan ke neeche, ek kone mein,
ek cadbury celebrations ka box rakha hua tha...

prem ki uss didi ke liye...
jisne pichle chaar saaloan se,
prem ko apne sage bhai se bhi badhkar maana!
jisne apne sage bhai ko raakhi baandhne se pehle,
prem ki kalai par rakhi ka dhaaga sajaaya!
jisne, humesha, har mushkil daur mein ,
prem ko sahara diya, uska saath diya!

prem bebasi se uss celebrations ke,
dibbe ko taankta raha!
Kya aisi paristhithi mein didi se milna,
uuchit hoga?

har baar toh prem didi ke paas dauda chala jaata tha!
anu ne yeh kiya, anu ne woh kaha!
iske alaawa toh prem ke muah se kuch aur nikalta hi nahin tha!

prem ki wah didi...
joh anu aur prem ke zhagdoan mein humesha,
refree banke pissti thi!

prem ki wah didi...
joh khoon ke rishte se badhkar,
prem ke saath dil ke rishte se judi thi!

prem ki wah didi...
priya didi...

joh anu ki badi behen thi!!!


            - to be continued...

_____________________________________________________


.................................kya saare rishte khohkle hote hain?..........