Thursday, 1 November 2012

Pyaari Si Zindagi - 09


Aug 16...

"baaware naina, bhare rahe raat bhar.
soye-jaage, jaage-soye...
jaane kis baat par,
mann khush bhi hai... bechain bhi!
uljhan kaisi, din-rain ki..."

kabhi-kabhi ek rishta,
insaan ki zindagi palat ke rakh deta hai!

zindagi mein, ek insaan ke chale jaane se,
zindagi iss kadar suni ho jaati hai,
ki lagta hai jaise - jiyein toh kyun?

prem ki haalat bhi kuch aisi hi ho chali thi...

anu ke saath-saath,
ussne aur bahut kuch khoya tha!

woh raamu ki dukaan,
jahaan se roz,
ek-ek banda jaake,
imli ki chocolates churaata tha!

woh kaake-da-dhabha,
jahaan khaana khaane ke liye,
prem roz tiffin mein apni mummy se
swaadisht khaana banwaata,
aur kaake ke chotu ke saath,
exchange karta !

woh dost,
jinke saath class bunk karke,
prem filmein dekhne jaata tha!

woh bargat ka pead,
jiske neeche,
saare milke julaa jhulte the!

woh galli,
jahaan roz shyaam,
saare milke cycle pe ghumte the!

woh tanki,
jahaan raat ko saare,
jhund mein baithke,
sitaaroan ko nihaarte the!

woh building ki seedhiyaan,
jahaan der raat tak baithe,
sab gappe maarte the!

har jagah anu yaad dilaati thi!
har nazaare mein anu ki chavi basi thi!
har insaan mein anu ka saaya dikhayi deta tha!
har phool mein anu ki khushbu chupi thi!

prem, na bina anu ko yaad kiye, kahin jaa sakta tha,
na hi chup-chaap apne kamre mein baith sakta tha!
aakhir...
prem ke kamre ki sajaavat bhi toh anu ne hi ki thi!

prem iss kadar anu pe nirbhar ho chuka tha...
ki agar wah saans bhi leta,
toh anu ki yaad mein,
dil apne aap, tezi se dhadakne lagta!

raat ko prem sone ki koshish karta,
toh anu ki aawaaz prem ke kaanoan mein gunjti rehti!

aise mein tabiyat kharab na ho toh kya ho?

raat ki neend,
prem ke liye is kadar zaroori ban chuki thi,
ki ab bas...
bas ek hi raasta nazar aa raha tha!

neend ki goliyaan!!!

                - to be continued...

_____________________________________________________________


......andhere ki cheekhein!!!...........