Sunday, 22 July 2012

Pyaari Si Zindagi - 03

July 25...

"har ek muskurahat muskaan nahi hoti
nafrat ho ya mohabbat aasaan nahi hoti"

ghane andhere mein...
chup chaap, akele se ek kone mein,
apni tanhaayi mein dooba,
sir jhukaye, baitha tha prem...

saansein toh chal rahi thi,
magar jo, kuch din pehle hua...
usse yaad karke,
ab bhi kaap utht ta tha prem...

july 15 -  anu ka janamdin tha!
july 15 -  prem ka maran din ho sakta tha!

uss shyaam...
anu ki yaadon mein khoye..
prem khud ko bhi kho sakta tha...

chaand ke moah mein,
prem sitaaroan ka saath kho raha tha...

woh sitaare, jo amaavas ki raat mein bhi,
prem ka saaya bana karte the...
woh sitare, jinhein dekhkar, prem aksar socha karta...
'kash... yeh chaand asmaan mein hota hi nahi...
raat bhar centre of attraction bana rehta hai
aur mere pyaare se sitaaroan ko background artist bana deta hai!'

aaj woh hi chaand, prem ko sitaaroan se jyaada priy ho chal tha!!
aaj... anu ka nasha is kadar uspe chaya tha, ki
usse paane ki chaah mein, prem apne dostoan se dur ho raha tha...

par agar anu ko paana hi tha...
to prem na aakhir usse rishta toda hi kyun???

                - to be continued...

_____________________________________________________________


.................................Phir teri yaad aayi ..............

Monday, 16 July 2012

Pyaari si Zindagi - 02

July 15...


"waqt saare ghaav bhar deta hai"

agar aisa hai... toh aaj...
do haftoan ke baad bhi
uska mann khaali-khaali sa kyun lag raha hai?
usse aisa kyun mehsoos ho raha hai ki,
usne faisla karne mein jalbaazi ki...

samundar kinare akele bethe, prem doobte hue sooraj ko nihaar raha tha...
ki achanak se uska dhyaan ek jodi ki aur badhaa...
ladki ke haath mein ek golaa tha, shayad kachi kairi?
aur ladka uske kandhoan par haath rakhe usse gudgudi karne ki koshish kar raha tha!

zahir si baat hai... usse anu ki yaad aane lagi...
uski hasi, uski aankhein, yahaan tak ki uski aawaaz bhi...

na jaane kyun aaj bhi usse raatoan ko sone nahi deti thi wah aawaaz!
na jaane kyun aaj bhi, har raat, sone se pehle...
usska ek khayaal, prem ke laboan pe halki si hasi chod jaata tha

do hafte!!!
do hafte ho gaye the uss baat ko...
na usse baat ki, na hi koi sms...

prem ka mann achanak se utaawlaa hone laga...
usne jhatt se phone uthaya aur anu ka number dhoondne lage.
phir usse yaad aaya...
ki anu ka number toh usne gusse mein delete kar diya tha!

itne saalon ka pyaar aur ek number se haar maan jaye?
anu ka number usse zubani yaad tha!
usse raha na gaya!! bechaini badhne lagi...
jhatt se usne anu ka number dial kiya...

ghanti bajne lagi...
baarish ki pehli boondein barasne lagi thi...
prem anu ki aawaaz sunne ke liye taras gaya tha.
wah apne khayaaloan mein is kadar ulajh gaya,
ki usse is baat ka dhyaan hi nahi rahi ki kab...

wah samundar ke kinare se uthkar paani ki aur badhaa,
aur kab...
wah badhtaa hi chala gayaa.....

            - to be continued...

___________________________________________


.................................Baatein bhool jaati hain... Yaadein yaad aati hain!!!.................

Monday, 2 July 2012

Pyaari Si Zindagi - 01

July 01...

"Har raat ek nayi subhaah layegi
khushi kabhi na kabhi toh phir muskurayegi
gam jitna chahe apna pehra jamaale
aakhir ek kiran roshni ki zaroor ayegi..."

andheri raat thi, tez baarish ki boonndein,
uske aankhon ki nami ko dhak rahi thi.
baarish mein bheegne se usse ek ajeeb sa sakoon milta tha.
maano jaise har zakham bhar raha ho,
jaise uski zindagi mein koi naya mode,
jald hi dastak dene waala ho...

ikkis saal ka prem,
gusse mein ghar se bahar nikla,
aur kise se bina kuch kahe,
apne bike ki chabi uthaye, chal pada.
zindagi mein woh aaise mukaam pe khada tha,
zahaan zindagi khud ek sazaa ban chuki thi.

bina kisi wajah usse ghutan mehsoos ho rahi thi...
woh yaadein, jinke liye woh kabhi jiyaa karta tha,
ab bojh banne lagi thi.
woh dost zinpe prem apni jaan lutata tha,
aab usse is baat ka dilaasa de rahe the,
ki zindagi kisi ek insaan ke liye nahi rukti!
iss hadh tak, ki bina kisi ka dil dukhaye,
woh kuch keh hi nahi paata tha...

har baat pe nok-jokh!!!
har cheez par paabandi!!!
har ek din, har ek lamha aise guzarta,
jaise wah apni zindagi udhaar pe jee raha ho...

hawaaon ke rukh ko badalne ki uski chaah thi!
par devdaas mann, un lamhoan ke pinjre mein kaid rehta!
chehre pe hasi ka toh sirf mukhoata tha!

aaj... ussne apne chaar saaloan ke pyaar se naata tod diya tha!!!

woh pyaar, jiski buniyaad par usne bina apni parvaah kiye,
kuch kathoar faisle kiye the...
woh pyaar, jiske bal par usne itni kaamyaabi haasil ki,
ki wah jeena hi bhool gaya tha...
woh pyaar, joh uske jeene ki wajah ban gaya tha!

bhalay hi woh pyaar... ek darfaa hi kyun na ho!!!

uska mann bechain hone lagaa...
kya usne sahi kadam uthaya tha?
kahin usne yeh faisla karne mein der toh nahi kar di?
kahin woh is wajah se kuch uttpataan na kar baithe!

koi usse hoaslaa deta ki sab thik ho jayega,
toh koi usse kehta ki usne bilkul sahi kiya!

par koi usse yeh nahi kehta...
ki woh aage kya kare???

            - to be continued....
________________________________________________



.................................Tanhaa dil....................