Wednesday, 9 October 2013

Pyaari Si Zindagi - 17

June 18

"Anjaana... Kehne ko hi tha!
Mera tha woh, jo bhi tha!"

*TING TONG*

Subah ke saat baj rahe the!
Kaun ho sakta hai itni subah subah?

Aankhein mundte hue Rashi darwaze ki oar badhi.
Darwaaza khola toh wahaan koi nahi tha.
Bas door mat par ek white envelope..

Rashi ne woh envelope uthaya aur uske andar jhaanka.
Dekha toh ek parchi nikli...
Uspe likha tha:
"Tum jhalli ki jhalli hi ho!"

Ye handwriting!
Aman?

Rashi ne yahaan wahaan dekha..
Bhaag ke stairs ki aur badhi!
Na jaane kiski talaash thi usse?
Niraash hokar jab woh palat rahi thi...
Tab usse ek jhalak dikhi!

Ussi peele chaate ki...
Rashi usse aawaaz lagane hi waali thi,
Ki kisine ne usse peeche se jakad liya!
Rashi cheekh padi!!

Peeche se kisiki hasne ki aawaaz aayi.
Rashi ne mud ke dekha,
Toh woh Aman ki baahon mein thi,
Aur Aman ke peeche khadi thi,
Hassi me magan Paakhi!

                                                     ----- Hum Tumhare Hain Sanam -----

Pyaari Si Zindagi - 16

June 18 3.05AM

Dear Aman

I am really sorry for behaving like this.

Hum do saalon baad mile aur maine tumse itna rudely behave kiya.
Tumhari koi galti nahin hai. Bas mujhe Paakhi ko tumhare saath dekh ke thoda shock laga. Specially jab tumne usse tumhari "Meet my wou;d be wife" kehkar introduce kiya!

You know what! Main actually tumse kuch kehne waali thi! Do saaloan mein tumse dur rehke maine yeh realize kiya ke tum sirf mere best friend hi nahi, usse kayi zyaada ho!  Aur... Main tumse kehna chahti thi...

I love you Aman! I am sorry, shayaad ab bahut der ho gayi hai. But mujhe sab se jyaad is baat par gussa aaya... ki Paakhi ye jaanti thi!

Goodbye Aman! Aaj ke baad hum kabhi nahin milenge.

Wish you a very happy life ahead.

Rashi.

                                                                                ------- A L V I D A  !

Pyaari Si Zindagi - 15

June 17

"Jaane pehchaane se woh ajnabee..."

Do din beet chuke the...
Naa Rashi ne Aman ka phone uthaya na hi usse call back kiya

Aman paagaloan ki tarah,
Rashi ko contact karne ki koshish kar raha tha.
Do dinoan mein Rashi ke cell pe kareeban
20 missed calls aur 10messages toh the!

Rashi ne finally apna phone switch off kar diya.
Facebook pe Rashi do saal purni yaadoan ko taaza kar rahi thi!

Itne mein Aman ne usse chat pe ping kiya "Hi"

Pehle toh Rashi ne socha ki woh log out karde
Par woh aakhir kab tak bhaagegi!
Usne reply kiya: "Hey..."

"Thank god! Tumne reply toh kiya"

"Hmmm...."

"Kya hua yaar? tum us din achanak se chali gayi!
Na kuch bola aur na hi mera phone utha rahi thi!"

"Sorry, kuch kaam aa gaya tha"

"Aisa kya kaam ke tum do dino se mera phone bhi nahi utha rahi? Ek msg hi kar deti! I was worried!"

"Sorry"

"Rashi... kya hua? Tum aise kyun behave kar rahi ho?"

"Kuch nahi"

"Sab theek toh hai na"

"Haan"

"Please yaar aise mat kar. Bata toh sahi kya hua! Maine kuch galat kaha kya?"

"Nahi"

"Maine kuch galat kiya?"

"Nahi"

"Rashi..."

"Haan"

"Are you ok?"

Ek pal ke liye Rashi ne socha, kya hoga agar main usse sach bata doon?
Kya woh Paakhi ko choad ke mere paas chala aayega? Kya woh mere liye apni relationship ko daav pe lagayega?

"Nahin, I'm not"

"Bata toh sahi kya hua! Paakhi bhi bahut pareshaan hai yaar!"

Bas! uska naam hi kaafi tha!

"Listen, I gtg, I'll call you later"

"Arre par Rashi..."

Rashi ne already log out kar diya tha!

                                                 ------Kho gaye woh lamhein kahin -------