Wednesday, 9 October 2013

Pyaari Si Zindagi - 17

June 18

"Anjaana... Kehne ko hi tha!
Mera tha woh, jo bhi tha!"

*TING TONG*

Subah ke saat baj rahe the!
Kaun ho sakta hai itni subah subah?

Aankhein mundte hue Rashi darwaze ki oar badhi.
Darwaaza khola toh wahaan koi nahi tha.
Bas door mat par ek white envelope..

Rashi ne woh envelope uthaya aur uske andar jhaanka.
Dekha toh ek parchi nikli...
Uspe likha tha:
"Tum jhalli ki jhalli hi ho!"

Ye handwriting!
Aman?

Rashi ne yahaan wahaan dekha..
Bhaag ke stairs ki aur badhi!
Na jaane kiski talaash thi usse?
Niraash hokar jab woh palat rahi thi...
Tab usse ek jhalak dikhi!

Ussi peele chaate ki...
Rashi usse aawaaz lagane hi waali thi,
Ki kisine ne usse peeche se jakad liya!
Rashi cheekh padi!!

Peeche se kisiki hasne ki aawaaz aayi.
Rashi ne mud ke dekha,
Toh woh Aman ki baahon mein thi,
Aur Aman ke peeche khadi thi,
Hassi me magan Paakhi!

                                                     ----- Hum Tumhare Hain Sanam -----

No comments:

Post a Comment