Friday, 14 June 2013

Pyaari Si Zindagi - 11

May 30th 2013

“Aaj jaane ki zidd na karo…
Yun hi pehlu mein baithe raho…”

Haath mein ek garma garam masala chai ka pyaala liye,
Khidki pe baithe, baarish ki boondon ko nihaar rahi thi Rashi.

Is mausam ka mazaa hi kuch alag hota hai!
Yeh barsaat kabhi bheegaati hai toh kabhi muskuraana seekhati hai.
Yeh barsaat humein aksar sataati rehti hai! Ha-ye!

Rashi ke liye, yeh mahina bahut hi khaas tha,
Bada azzez tha use yeh saawan ka mahina.
Par aaj, is pyaar bhare mausam ki meeti si yaadein sanjone ke liye,
Uske saath… Koi nahi tha…!

Khayaloan mein doobe hue,
Achanak se Rashi ki nazar, uski building ke neeche,
Raaste par chal rahe ek peele rang ke chaate par padi…
Haldi ke rang se bhi peela, bilkul chamakte suraj jaisa!

Aise rang ka chaata bhi koi leke ghoomta hai bhalaa?
Aur who bhi… ek ladka…?

      Rashi ki aankhoan mein curiosity chamki!
      Woh jhat se khidki se jhank kar taadne lagi.
      Kabhi daayein, toh kabhi baaein!
      Upar neech, aade-tedhe, sab koshish kar li!

      Apni gardan itni marodne par bhi Rashi,
      Us peele chaate waale ajnabee ka chehra dekh nahi paayi!

      Dikhe… toh uske Woodland ke shoes.
      Jo baarish ke chik chik mein black se brown ho rahe the!
      Bechare…

      Rashi nirash hoke andar jaane hi waali thi,
      Jab us peele chaate waale ajnabee ne upar uski khidki ki oar dekha,
      Aur ek pyaari se smile ke saath,
      He winked…!

      Apne ghar se koasoan dur, ek anjaane se shehar mein, aaj…
      Rashi ka pehla janamdin tha!!!


                                  - to be continued...


_______________________________________________________

                       ----------Yeh Mastaana Mausam -------





No comments:

Post a Comment