Wednesday, 10 July 2013

Pyaari Si Zindagi - 12

June 15th 2013

'Aadha isha aadha hai, 
Aadha ho jaayega...'

Halke se gungunati hui,
Apni hi dhund mein magan,
Raaste pe baarish ki boondon ko uchalte,
Chali ja rahi thi Rashi.

Na koi horn,
Na koi traffic signal,
Na koi raste pe bhare paani ke khadde,
Na koi fikar!

Aaj, poore do saalon baad,
Rashi Aman se jo milne ja rahi thi!

Aman, uska best friend!
Jo college mein har din uske saath last bench pe baith ke teachers pe

comments pass karta tha.

Aman, jisse woh apna tiffin share karti thi!
Aur tiffin ke saath saath, apne dil ki saari baatein bhi!

Aman, jo aaj, poore do saalon baad,
Delhi se apna Masters complete kar ke laut raha tha!

Aman, Aman, Aman!

Aman... Jisse woh pyaar karne lagi thi!
Jisse woh aaj, apne pyaar ka izhaar karne waali thi!

Haathon mein uski favorite five star liye,
Rashi raste se bheed ko chaante,
Station pe pahunchne hi waali thi,
Ke achanak uska phone baja...

"Hello... Kahan hain tu?"

Oh! NO! Aman already station pahunch gaya tha!
Aur ab woh Rashi pe late hone k liye gussa karega!

"Bas pahunch gayi! Tu Ramu kaka ki dukaan pe ruk, mein bas do minute mein

aayi!"

Rashi ne jaldi se phone kaata.
Ek haath mein five star liye,
Dusre haath se chaata band karti hui,
Jab Rashi station pahunchi,

Tab uske liye ek surprise wait kar raha tha!

Aman akela nahin tha...
Aman ke saath Paakhi bhi thi!


                         -----------Khulti zulfoan ne sikhayi, mausamon ko shayari------------

No comments:

Post a Comment